THE INNER WORLD OF AMIR KHAN AFRIDI




Saturday, 2 July 2011


This Blog
Linked From Here
This Blog
 
 
 
 
Linked From Here
 
 
 
Showing newest posts with label GHAZAL"S. Show older posts
Showing newest posts with label GHAZAL"S. Show older posts

Tuesday, June 7, 2011

Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan


Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan
Chand nikla hai tujhay dhoondhnay pagal ki tarhan


Khushk patton ki tarah log uray jatay hain
Shehr bhi ab tou nazar aanay laga jungle ki tarah


Phir khayalon main teray kurb ki khushbu jaagi
Phir barasnay lagi anakahin meri badal ki tarhan


Be-wafaoon say wafa kartay guzari hai hayat
Ye barasta raha weeranay pe badal ki tarhan.........!!

Sari duniya k rivajon se adawat ki thi


Sari duniya k rivajon se adawat ki thi
Tumko Yaad hai jab maine ik hamaqat ki thi


Usay razdan samajh kr btaya tha haal-e-dil apna
par us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi


Jab kisi ki yaadun ne ankhun ko bhigoya tha meri
Maine aik naam ki tasbeeh peh tilawat ki thi


Usko choor k hanstay huay ghar aa k
Itna roye thay k ankhon ne shikayat ki thi


mere ujarnay ka sabab jb b kisi ne poucha tu
maine bs itna bataya k "MUHABBAT" ki thi..

Ujray hue logon se gurai-zaan na howa ker



Ujray hue logon se gurai-zaan na howa ker
Haalat ki kabroon ke yeh katbay bhi padha ker

Har waqt ka hansna tujhe barbaad na kerde
Tanhai ke lamhon main kabhi ro bhi liya ker

Is shab ke muqadar main saher hi nahin “MOHSIN”
Hum ne dekha hai kaye baar charaghon ko bhuja ker

Friday, June 3, 2011

Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina


Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina
Mujhay tum azmanay se zara pahlay bata daina

Kisi heelay bahanay se zara pahlay bata daina
K mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata daina

Zamin ke rait pe tum ne mohabbat se likhi thi jo
Woh tahrerain mitanay se zara pahlay bata daina

Mairay dilber k is dil per main rakh loon zabt ka pathar
Suno daman churanay se zara pahlay bata daina

Kisi bhi mor pe “Mohsin” bura pao agar mujh ko
Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina..

hijr k mosmo'n ki ab kahani hum na likhaiN gay


hijr k mosmo'n ki ab kahani hum na likhaiN gay
koi bhi baat pehli se pura’ni hum na likhaiN gay

wo har ik lafz ke jis per koi sawal uth’taa ho
safh-e-qurtas per hargiz zabani hum na likhaiN gay

thi’thartey sard mousam to sadaa dil hi dukha’eiN gay
tujhay ay shaam-e-gham ab k suhani hum na likhaiN gay

ye moasam beet jana ab k chupke se dabay paa’oN
rehi hooN maiN kabhi teri dewani hum na likhaiN gay

tu muj pe mehrbaa’N rehna kabhi naraz na hoNa
aiy meri zindagi tujh ko be-gani hum na likhaiN gay

wo bus ik shaam jo apni tumharay saath guzri thi
hamaiN chupke se thi ik din chura’ni hum na likhaiN gay

thakaN hum ne samaiti hai bohat rah e mohabat main
pari dil ki KARrI keemat chu’kaaNi hum na likhaiN gay

sanam pathar k ho jate hain akhir Khuda ik din


sanam pathar k ho jate hain akhir Khuda ik din
sitam gar sare payen gay kabhi akhir saza ik din

kabhi toh rang laye gi mere dil ki dua ik din
k bhar jaye gi taaron se meri khali rida ik din

hatheli pr likhay jati hon naam us ka musalsal main
woh aa kar dekh hi lay ga mera rang-e-hina ik din

buhat dinon say meri hasti koi weran khandar hai
kabi ankhon mai aa bas ja mere dil main sama ik din

teri yeh barhami jana'n hai pegham e ajal mujh ko
yehi tujh ko gawara hay toh ja! ho ja khafa ik din

shab-e-hijran!meri by-khuwab ankhon pr tu ehsaan kr
mere mathay pay bosa day' mujhe aa kar sula ik din

Aziat apni qismat thi aziat se nahi nikly


Aziat apni qismat thi aziat se nahi nikly
juda ho kr b hm dono mohbt sy nhi nikly,

Aana k daaeron mn thy so ek dojy ko dhutkara
mgr phr umr bhr dono mulamat sy nhi nikly

Qadam chokat py rakhty he ye bazoo phael jaty han
Mohbt sy Nikl Aay han aadat sy n hi nikly,

Boht mumkin tha ruk jaty pukara hi nhi tm ny
tyry koochy sy hm itni b ujlat mn nhi nikly

mere jazbat ab myry bas mn nhi rhty
k aanso ab tyri khatr ejazt sy nhi nikly,

Kuch kaif-e-sahar na mujhay shaam ka nasha


Kuch kaif-e-sahar na mujhay shaam ka nasha
hay meray liyay bada benaam ka nasha

Aankhon say chhalaktay howay irfan kay taranay
zulfon say barasta hoa ilhaam ka nasha

Har gaam laraztay howay tadbeer kay paikar
taqdeer ki aankhon mein hay aalam ka nasha

Har dil mein tardaptay howay arman ki kahani
har aankh mein khon e dil nakaam ka nasha

Phir doob gaya gaisoo e janaan ki mehek mein
do din to raha gardish e ayyaam ka nasha

Hen shisha o Saghar kay yahan rang anokhay
hay aek yahan bada e gulfam ka nasha

Unglian phair raha tha woh khayalon mein kahin


Unglian phair raha tha woh khayalon mein kahin
lams mehsoos hoa meray balon mein kahin

Ab mera saath nahi deta piyada dil ka
haar jaon na mein aakar teri chaalon mein kahin

Is tashakhkhus pe bhi rehta hay ye dhardka dil ko
kho na jaon mein teray chahnay walon mein kahin

Aek sooraj nay mujhay chaand ka rutba bakhsha
warna hoti mein kitabon kay hawalon mein kahin

mujh ko lagta to nahi woh mutzalzal lekin
Us ko wehshat hi na lay jaaen ghazalon mein kahin

Hum sarapa apnay gham ki dastan hain aaj kal


Hum sarapa apnay gham ki dastan hain aaj kal
khud nigahen dard e dil ki tarjuman hen aaj kal

Dil say umday aa rahay hen hasraton kay karwan
aur aankhen karwan dar karwan he aaj kal

Wo rukh e rangeen, wo chashm e naaz, wo zulf e daraz
arghuwan o nargis o sumbal jawan hen aaj kal

kheench laya unko mera jazb e dil bala e baam
meri khatir husn ki ruswaiyan hen aaj kal

Allah Allah tabish e rukhsar e rangeen ki bahar
muztarib, abr e shufq mein bijliyan hen aaj kal

Haay aaghaz e muhabbat ki tarb angezyan
hasrat o hirman, gham ki dastan hen aaj kal

Sabza o shabnam, naseem o bo e gul hen ham kinar
aur woh mujh say Qamar, daman kushan hen aaj kal

Har ek dayar mein raoshan hai naam urdu ka


Har ek dayar mein raoshan hai naam urdu ka
har ek goshay mein poncha payam urdu ka

Mafar nahi hay harifon kay wastay koi
bichha howa hay har samt daam urdu ka

Hay jin ko madd e nazar ahtram e Pakistan
zaroor kartay hen woh ahtram urdu ka

Is zuban say hay irtibat e ahl e watan
kafeel nazm e watan hay nizam urdu ka

Arab mila hay ajam sy, ajam say Pakistan
kuch is tarah say howa hay qawam urdu ka

Kushan kushan idhar aa jaengay sabhi Wehshat
hay meray hath mein pur kaif jaam urdu ka

Log letay hain yonhi shama aur parwanay ka naam


Log letay hain yonhi shama aur parwanay ka naam
kuch nahi hai is jahan mein gham kay afsanay ka naam

Mitt gai brbdi e dil ki shikayat dosto
ab gulistan rakh lia hay main nay wiranay ka naam

Shaokhi e qadr e nigaran meri sehba ka wujood
masti chashm e ghizalan meray paimanay ka naam

Is ko kehtay hen gham e taqdeer ki nilam gah
hay zuban e tashnagi aur maikhanay ka naam

Dekhyay ! Saghar ki aashufta nigahi ka kamaal
mastiyan chhalka raha hay aek diwanay ka naam

Ye dekhnay kay liyay sab theher kay dekhtay hain


Ye dekhnay kay liyay sab theher kay dekhtay hain
woh khush khiram kisay aankh bhar kay dekhtay hain

Idhar udhar parday tukrday jigar kay dekhtay hain
karishmay ham teray teer e nazar kay dekhtay hain

Woh yon bhi kartay hen tasdeeq meray marnay ki
keh apna hath meray monh pe dhar kay dekhtay hain

Suna hay aatay hen qabroon pe woh dua kay liyay
agar ye sach hay to ham bhi mar kay dekhtay hain

Suna hay rotay howay log hen pasand unko
ham apni aankhon mein kuch ashk bhar kay dekhtay hain

Suna hay ashk rawan maojzan hen har janib
wafa kay shehr say ham bhi guzar kay dekhtay hain

Suna hay baten thirakti hen un kay honton par
ye baat hay to chalo baat karkay dekhtay hain

No comments:

Post a Comment

Thanks For Comment On My Beautiful world ...
Amir Khan Afridi