THE INNER WORLD OF AMIR KHAN AFRIDI




Thursday, 30 June 2011

Broken Love And Memories


Broken Love And Memories

Memories are all that remains,
Of a perfect love gone wrong,
Memories of your warm smile,
Of your soft loving caresses,
And your sweet tender kisses,

Memories so bitter yet so sweet,
Where my lips curl into a smile,
Yet the joy never to reach my eyes,
As unbidden tears streak down,

Memories of a classic love story,
That ended on a rain soaked day,
As if the sky saw and empathized,
And weeped along with my heart,

Moments we had spent together,
Will live and last forever,
As unforgettable memories,
To be played over and over,

Memories are all that I have left,
Of a love that once burned bright,
Now masked, dimmed and dying,
But it is in this eternal moment,
That I love you the most,

But it is too late to turn back now,
For we have taken a one way road,
To memories and might have beens,
And used up all our given chances,

So now, while I hurt and ache,
I will also pray, hope and wait,
For a gentle and loving heart,
To heal and revive this love broken soul,
And give a new home to this orphaned heart...…

Koi Dhudla Sa Ek Chehra Meri Aankhon Mein Rehta Hai


Koi Dhudla Sa Ek Chehra Meri Aankhon Mein Rehta Hai,
Koi Bhatka Sa Ek Jugnoo Mere Khwabon Mein Rehta Hai,

Ek Mayoos Si Awaz Mujhe Sone Nahi Deti,
Koi Uljha Sa Ek Jumla Meri Yaadon Mein Rehta Hai,

Haay Kiske Shabnami Aanchal Ki Khushbu Ab Talak Mujh Mein,
Koi Ehsaas Mehka Sa Meri Saanson Mein Rehta Hai,

Mujhe Khud Par Nahi Qaboo Na Main Kuch Bol Sakta Hoon,
Asar Ye Kiske Lafzon Ka Meri Baaton Mein Rehta Hai,

Sardiyon Ki Khunak Raatein Mujhe Bechain Kar Rakhti Hai,
Lamas Ka Ek Hath Ab Tak Meri Sochon Mein Rehta Hai,

Hai Dil Bhi Muztarib, Ehsaas Bhi, Sochon Ki Uljhan Bhi,
Ye Kiski Aankh Ka Aansu Meri Aankhon Mein Rehta Hai...
Wafa Ke Sheesh Mahal Mein Saja Liya Maine,
Wo Ek Dil Jise Patthar Bana Liya Maine,

Ye Soch Kar Ke Na Ho Taak Mein Khushi Koi,
Gamon Ki Ott Mein Khud Ko Chhupa Liya Maine,

Kabhi Na Khatam Kiya Maine Roshni Ka Muhaaz,
Agar Chiraag Bujha, Dil Jala Liya Maine,

Kamaal Ye Hai Ke Jo Dushman Pe Chalana Tha,
Wo Teer Apne Kaleje Pe Kha Liya Maine,

'Qateel' Jiski Adavat Mein Ek Pyaar Bhi Tha,
Us Aadmi Ko Gale Se Laga Liya Maine...

Raat Phaily ha

Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan
Chand nikla hai tujhay dhoondhnay pagal ki tarhan


Khushk patton ki tarah log uray jatay hain
Shehr bhi ab tou nazar aanay laga jungle ki tarah


Phir khayalon main teray kurb ki khushbu jaagi
Phir barasnay lagi anakahin meri badal ki tarhan


Be-wafaoon say wafa kartay guzari hai hayat
Ye barasta raha weeranay pe badal ki tarhan.........!!

Kal Raat


Kal Raat Bahut Toot Ke Barsa Tha Ye Badal,
Aur Humne Bhi Ashqon Mein Bhigo Ke Aanchal,

Ye Dilki Lagi Chain Se Rehne De To Sochein,
Kyon Phailta Jaata Hai Meri Aankh Mein Kajal,

Is Dilse Koi Puchhe Ye Zeest Kati Kyonkar,
Jab Jaan Ye Shikasta Thi Dil Gam Se Tha Ghayal,

Phir Yaad Tujhe Karke Ye Nain Baraste Hain,
Jab Shaam Dhale Dard Ke Uthe Koi Badal...
 
Aaj Ki Shab To Kisi Taur Guzar Jayegi
Raat Gehri Hai Magar Chand Chamakta Hai Abhi,
Mere Mathe Pe, Tera Pyar Damakta Hai Abhi,
Meri Saanson Mein Tera Lams Mehekta Hai Abhi,
Mere Seene Mein Tera Naam Dhadakta Hai Abhi,
...Zeest Karne Ko Mere Paas Bahut Kuch Hai Abhi,

Teri Awaz Ka Jaadu Hai, Abhi Mere Liye,
Tere Malboos Ki Khushbu Hai Abhi Mere Liye,
Teri Baatein Tera Pehloo Hai Abhi Mere Liye,
Sab Se Badhke Meri JAAN Tu Hai, Abhi Mere Liye,
Zeest Karne Ko Mere Paas Bahut Kuch Hai Abhi,

Aaj Ki Shab To Kisi Taur Guzar Jayegi,
Aaj Ke Baad Magar, Rang-E-Wafa Kya Hoga,
Ishq Hairan Hai Ke Sar Sheher Saba Kya Hoga,
Mere Qaatil Tera Andaza-Jafa Kya Hoga,

Aaj Ki Shab To Bahut Kuch Hai Magar, Kal Ke Liye,
Ek Andesha-E-Benaam Hai Aur Kuch Bhi Nahi,

Dekhna Ye Hai Ke Kal Tujhse Mulaqaat Ke Baad,
Rang-Ummid Khilega, Ke Bikhar Jayega,
Waqt Parwaz Karega Ke Theher Jayega,
Jeet Ho Jayegi Ya Khel Bigad Jayega,
Khwab Ka Sheher Rahega Ke Ujad Jayega...