THE INNER WORLD OF AMIR KHAN AFRIDI




Sunday, 3 July 2011


This Blog
Linked From Here
This Blog
 
 
 
 
Linked From Here
 
 
 

Sunday, March 1, 2009

Us nien phir maira hall poocha hai

Us nien phir maira hall poocha haiKitna mushkil sawaal poocha hai
Hichkioon ka ajeeb lehja thaBaat ko taal taal poocha hai
Tum mujhay chord to na jao gayWastay daal daal poocha hai
Ansoon ki zuban main us nienJitna poocha kamal poocha hai
Kiya kabhi mill sakien gay hum donoMujh se maira khiyal poocha hai
Din guzrta hai kis tarha mairaKaisay guzray ga saal poocha hai..!

Saturday, 2 July 2011

Kamar bandhay chalnay ko yan sab yaar bethay hain


Kamar bandhay chalnay ko yan sab yaar bethay hen
bohat aagay gayay, baqi jo hen tayyar bethay hen

Na chhaird aay nihat e baad e bahari rah lag apni
tujhay ithkalyan soojhi hen, ham bbaizaar bethay hen

Tasawwur arsh par hay aur sar hay paayay saqi par
gharz kuch aur hi dhun mein is ghardi maikhuwar bethay hen

ye apni chaal hay uftadgi say ab keh pehron tak
nazar aaya jahan par saaya e deewar bethay hen

Kahan sabr o tahammul aah nang o naam kia shay hay
yahan ro peet kar in sab ko ham yakbaar bethay hen

Bhala gardish falak ki chain deti hay kisay INSHA
ghanimat hay keh ham soorat yahan do chaar bethay hen

Deewana koi chaak garibaan na milay ga


Deewana koi chaak garibaan na milay ga
ab koi shanasa e baharan na milay ga

Guzren gay bohat log teri rahguzar say
par ham sa koi sookhta saman na milay ga

kab yaad na aay gi teray ahd e wafa ki
kab ashk sar daaman e miszgaan na milay ga

Ab umr isi haal mein kat jayay gi shayed
taskeen ka pehloo kisi unwaan na milay ga

Jaltay hen keh ab aatish e gham sard na hogi
kurdhtay henkeh is dard ka samaan na milay ga

Is jashn gulo lala kay amboh mein koi
ghamkhoar tujhay shabnam giryan na milay ga

Ahsaan uthatay ho abas chara garon kay
ye gham to aey sina e figaran na milay ga

Ara,esh gaisoo ka khayal aay ga tum ko
jab koi bhi sargashta o hairaan na milay ga

Kantay hen kahin aur kahin sang giran hen
KAIFI meri rahon mein gulistaan na milay ga

Takhleeq-e-kaainat ka matlab samajh gaya


Takhleeq-e-kaainat ka matlab samajh gaya
teray takallufat ka matlab samajh gaya

Ahbaab kar rahay hen bardi charasazian
shayed taweel raat ka matlab samajh gaya

Ham chal rahay hen teray iradon kay saath saath
majboori e hayat ka matlab samajh gaya

shayed keh ham nibah kay la,iq nahi rahay
tark e talluqaat ka matlab samajh gaya

Aey dost niyaton kay taqazay kuch aur hen
is rang e iltifat ka matlab samajh gaya

Kabhi azeez thay ham jinko zindagi ki tarah


Kabhi azeez thay ham jinko zindagi ki tarah
abhi qareeb say guzray hen ajnabi ki tarah

Khuda karay too gham e zeest say rahay mehfooz
keh too hay gulshan e hasti mein kali ki tarah

Hamen hi zabt ki talqeen kiun ho mehfil mein
hamen bhi izn e takallum milay sabhi ki tarah

Hamaray dil mein ziaraiz hay kisi ki yaad
kanwal kay phool mein khowabida chandni ki tarah

Hamen mila hay QAMAR gham badal badal kar bhais
kabhi basoorat e girya, kabhi hansi ki tarah